Album
Lyrics

1. Humara Ho Gaya (Ft. Sanchi)

Mere khaali aasman ka taara ho gaya,
Tu mere samandar ka kinara ho gaya,
Mere khaali aasman ka taara ho gaya,
Tu mere samandar ka kinara ho gaya,

Hawaon ki nigahein bhi ab dekhein bas humein,
Tu mera main tera sab humara ho gaya…
hmmm..

(Music)

Mere khaali aankhon ka nazara ho gaya,
Tere hone se mera guzara ho gaya,

Hawaon ki nigahein bhi ab dekhein bas humein,
Tu mera me tera sab hamara ho gaya.
hmmm…

(Music)

2. Kya Dekhu

Tere alawa aur kya dekhu, kya maangu, kya sochu…
Tere geeton ko odhun, awaaz ko teri choo loon…

Tere alawa aur kya dhoondu, kya chahun, kya samjhun…
Tere haathon se khelu, saanson ke teri padh lun,
Aur kaise likhdu, kuch bhi jisme tu hi tu na ho….

(Music)

Yeh Jheel, Yeh Jharne, nazare kyu dekhu,
Tujhme hi doobu kinare kyu dekhu,
Yeh Jheel, Yeh Jharne, nazare kyu dekhu,
Tujhme hi doobu kinare kyu dekhu,

Tere alawa jo bhi hai kyu hai,
Yeh raatein, yeh chand, sitaare kyu dekhu,
Aur kaise dekhu kuch bhi jisme tu hi tu na ho…

(Music)

Aur kaise likh du, kuch bhi jisme tu hi tu na ho….

3. Kaun Apna (ft. Sanchi)

Har kisi ke mann mein kyun, yeh khayal aa gaya,
Kaun apna hai yaha, yeh sawaal chaa gaya..

Bereham Dunya itni ho gayi hai kyun?
Be-Dili hi Be-Dili har jagah hai kyun?

Har kisi ke mann mein kyun, yeh khayal aa gaya,
Kaun apna hai yaha, yeh sawaal chaa gaya..

(music)

Har kisi se puch lo, unke haal chaal tum,
Har kisi se puch lo, unke haal chaal tum,
Gham ki sadiyo me bano khushiyo ka ek saal tum
khushiyo ka ek saal tum…

Har kisi ke mann mein kyun, yeh khayal aa gaya,
Kaun apna hai yaha, yeh sawaal chaa gaya..

Bereham Dunya itni ho gayi hai kyun?
Be-Dili hi Be-Dili har jagah hai kyun?

Har kisi ke mann mein kyun, yeh khayal aa gaya
Kaun apna hai yaha, yeh sawaal chaa gaya

Kyun sawaal chaa gaya? Kaun apna hai yaha

Har kisi ke mann mein kyun, yeh sawaal chaa gaya
yeh khayal aa gaya…

Kaun apna hai yaha, Har kisi ke mann mein kyun
Yeh sawaal chaa gaya…

4. Likta Hun

Mein sochta hu Raat bhar,
Likhta hun fir aankh bhar.

Kisi ke aane pe kabhi,
Kisi ke jaane pe kabhi.

Kabhi kisi pahad pe,
Sheher ke shor me kabhi.

Mein sochta hu Raat bhar,
Likhta hu fir aankh bhar.

Zindagi ki dhoop chhav par,
Kabhi ghehre kisi ghaav par,
Logon par, samaj par, mere pyaare se uss gaav par.

Mein sochta hu Raat bhar,
Likhta hu fir aankh bhar.

Kabhi kisi ki yaad mei,
Kabhi kisi ke saath me,
Kabhi kisi kitab pe,
Kabhi kisi ke haath pe.

Mein sochta hu Raat bhar,
Likhta hu fir aankh bhar.
Likhta hu fir aankh bhar.

5. Mazhab Hai (Ft. Sanchi)

(music)

Woh aankhon me teri meri jo bematlab hai,
Woh kuch bhi nahi hai aur wohi sab hai.

Woh aankhon me teri meri jo bematlab hai,
Woh kuch bhi nahi hai aur wohi sab hai.

Woh aankhon me teri meri jo be matlab hai,
Woh Ishq hi mera ab Mazhab Hai
Woh Ishq hi mera ab Mazhab Hai..
Mazhab Hai…..

(Music)

Woh dikhta nahi hai par dekhne me, voh ajab hai.
Tera mujhme rehne khone ka woh sabab hai.

Woh aankhon me teri meri jo be matlab hai,
Woh Ishq hi mera ab Mazhab Hai…..
Woh Ishq hi mera ab Mazhab Hai…..

(Ishq hi mera Mazhab hai,
Ishq hi mera Mazhab hai)

(Music)

Ishq hi mera, ishq mera, Mazhab hai,
Ishq hi mera, ishq mera ,Mazhab hai,
Ishq hi mera, ishq mera ,Mazhab hai,
Ishq hi mera, ishq mera ,Mazhab hai,
Ishq hi mera, ishq mera Mazhab hai,

Ishq hi mera, ishq mera, Mazhab hai,

6. Tu Aisa Kaise Hai ( Ft. Sanchi)

Tere saath sab kuch, itna asaan kaise hai.
Tere saath sab kuch, itna asaan kaise hai.
Tu bhi mere jaisa pagal, nadaan kaise hai.

Tu hawa jaise ghul jata mujh mein,
Mujhe apna ghar, mil jata hai tujh mein,
Kaise, tu aisa kaise hai,
Kaise, kaise, tu aisa kaise hai.
Kaise.

(music)

Teri aankhon me bhi, mujhsa toofan kaise hai,
Teri aankhon me bhi, mujhsa toofan kaise hai,
Mujhko paa kar tu bhi, itna hairaan Kaise hai.

Tu hawa jaise ghul jaata hai mujh mein,
Mujhe apna ghar, mil jata hai tujh mein,
Kaise, tu aisa kaise hai,
Kaise, kaise, tu aisa kaise hai, Kaise hai.
Kaise, Kaise, tu aisa kaise hai, Kaise hai.
Kaise, hmm hmmm…

7. Bohot Hua

Meri jaan, meri jaan door chale ja ab, Bohot hua.
Dil ka lagana aur dil todna ab, Bohot hua.

Ishq tujhse hi tha aur tujhse hi rahega, par yeh ruthna aur manana ab, Bohot hua,
Bohot hua yeh sab ab, Bohot hua.
Bohot hua yeh sab ab, Bohot hua.

Khwaabon ka yoon chhutna ab, bohot hua.
Khwaabon ka chhutna ab, bohot hua.

Neendon ka (neendon ka) aankhon se Tootna ab, Bohot hua..
Ishq tujhse hi tha aur tujhse hi rahega,
par yeh ruthna aur manana ab,
Bohot hua…

(music)

Bohot hua ab, Bohot hua…..Bohot hua, ab sab Bohot hua ……

8. Sheher mein

Din se mushkil raatein hai, Sheher mein.
Phir kyun sab gaanv se aate hai, Sheher mein.
Aur padh kar ek, do, chaar moti kitaabein,
Padh kar ek, do, chaar moti kitaabein,
Kyu sab gyaani ho jate hai, Sheher mein.
Phir kyun sab gaanv se aate hai, Sheher mein.

Yeh 365 din yeh 24 ghante,
365 din yeh 24 ghante,
Yeh bhi kam pad jate hai, Sheher mein.
Phir kyun sab gaanv se aate hai, Sheher mein.

Yeh aasman bhi darr darr ke kehta hai,
Yeh aasman bhi darr darr ke kehta hai,
Taare chori ho jate hai, Sheher mein.
Phir kyun sab gaanv se aate hai, Sheher mein.

Shehron hi hawa mat lagne dena, babu.
Shehron hi hawa mat lagne dena, babu.

Har mahine toofan aate hai, Sheher mein.
Phir kyun sab gaanv se aate hai, Sheher mein.

Din se mushkil raatein hai, Sheher mein.
Phir kyun sab gaanv se aate hai, Sheher mein.

9. Pyaare (Ft. Pulkit, Hullad Muradabadi)

Jiska chehra naqaab Hai Pyaare
Bus Wahi qamyaab hai pyaare

Jiska chehra naqaab Hai Pyaare
Bus wahi qamyaab Hai Pyaare

Jante ho fasaad ki jad ko?
Jante ho fasaad ki jad ko?

Naam Uska Sharab Hai Pyaare…

Jiska chehra naqaab Hai Pyaare,
Bus wahi qamyaab Hai Pyaare

Maut jiska hai aakhri panna,
Maut jiska hai aakhri panna,
Zindagi woh kitab hai Pyaare

Us se panga kabhi nahi lena,
Us se panga kabhi nahi lena,
Waqt bigda nawab hai Pyaare.

Jiska chehra naqaab hai Pyaare,
Bus wahi qamyaab hai Pyaare.
Jiska chehra naqaab hai Pyaare,
Bus wahi qamyaab hai Pyaare…

Spotify iTunes Amazon

Saar

Release Date : October 20, 2021
Artist : Osho Jain
Format : Digital Download

With his debut album set to step into the world, Osho Jain has carefully poured out all his emotions and experiences into 7 songs and 2 poems. “Saar” meaning “summary” in Hindi, is a gist of everything he has understood about life, love, and existence.

The honesty and simplicity of this album will make you travel to your old times and sit with your younger self to give them a pat on the back for doing so good. It’s like an old box full of memories that you always keep safe with you.
From “Hamara Ho Gaya” to “Bohot Hua” ending on “Pyaare” Osho has collaborated with 2 other beautiful artists to make it sound like home.
Osho hopes “Saar” finds you at the right time for all the right reasons.

Composer, Lyrics, and Singer: Osho Jain

Featuring Artists :
Sanchi : Humara Hogaya, Kaun Apna, Mazhab Hai and Tu Aisa Kaise Hai
Pulkit Jain: Pyaare
Hullad Muradabadi : Pyaare

Produced by: Osho Jain
Additional Production: Pulkit Jain
Drums: Bharat Chandore
Mix Master: Prasad Maha
Recorded at: Baawla Studios
Mastered at: Yashraj Studios
Artwork By: Sanchi

Saar Tour Saar Tour
Indie Chill Mix hindies - Spotify India